Thursday 5 July 2012

Nocturnal Ejaculation(Ehtelam)

Ehtelam
 Mani kay ikhraj ka doosra behter rasta ehtelam hai jin naujawano ko mubashrat ya khud lazzati ka kasrat sey moqa nahin milta unn ko Ehtelam ho jata hai. Yani sotey mein khwab mein ya khwab kay baghaer peeshab kay rasta mani kharij ho jati hai. Iss kay baad ghusl farz ho jata hai, albatta iss sey roza nahin tootta. Hazrat Abu Hurera sey marvi hai kay RasoolAllah ney farmaya kay teen cheezon sey roza nahin tootta, pachna, qaey aur Ehtelam . (Abudaud)    

Ek dubla patla naujawan merey clinic mein aaya, woh bohut pareshan tha. Uss ney bataya kay woh din ba din kamzor hota ja raha hai, uski mardana quwwat khatam hoti ja rahi hai. Meine wajah poochi to bataya kay usey haftey mein ek baar Ehtelam ho jata hai. Meine uss sey poocha kay kya woh bachpan mein mota taza tha uss ney bataya kay woh bachpan hello sey dubla patla hai. Meine poocha kay kya usey bachpan mein bhi Ehtelam hota tha uss ney nafi mein sar hilaya yani uss kay dubley pan ki wajah Ehtelam na tha magar woh iss ko wajah samajh kar pareshan tha.

     
  Yeh amal 8, ten saal ki umer sey shuru ho sakta hai. Behter hai kay bachay ko iss kat muta'alliq paeshgi bata diya jaey warna isey jinsi beemari samajh ley ga aur khauf zada aur pareshan ho jaey ga. Phir kisi neem hakeem kay hutthey charh kar sehat aut rupya zaya karey ga. Ehtelam ek bilkul normal aur sehat mand uzwiati amal ya kaifiyat hai jis kay barey mein pareshan honay ki zaroorat nahin. Ehtelam

0 comments:

Post a Comment