Thursday 5 July 2012

Lack Of Sex Education

Boys Sex Problems and Solutions In Urdu and Hindi
 Baloghat kay waqt bachon kay jism mein bohut si jismani tabdeeliyan aati hain. Maslan zer e naaf baalon ka aajana, larkon ko shahoot ka zyada aana aur phir shahoot ki wajah sey zakar sey laesdaar liquid ka kharij hona. Jins e mukhalif ki taraf kashish mehsoos karna, larkon ko ehtelam aur larkiyon ko mahwari ka khoon aana waghaera. Aksar naujawano'n ko shak hota hai kay yeh tabdeeliyan normal hain ya abnormal. Badqismati sey humarey naujawano'n ko iss silsiley mein durust ma'aloomaat nahin miltiin chuna'ncha neem hakeem aur deewari ishtehaaraat ki ma'aloomaat ki wajah sey aksar naujawan inn fitri tabdeeliyon ko khatarnaak jinsi aur jismani beemariyan samajh letey hain aur phir pareshan ho jatey hain. Iss pareshani aur zehni daba'u (stress) ki wajah sey woh mukhtalif nafsiyati aur jismani beemariyon ka shikar ho jatey hain maslan yeh naujawan amooman depression ka shikar ho jatey hain. Iss marz mein fard shadeed udaasi aur afsurdagi mehsoos karta hai, iss ka kisi cheez mein dil nahin lagta, kuch karney ko dil nahin karta, tanhaee pasand ho jata hai, uski neend urr jati hai, bhook khatam ho jati hai wazen kam ho jata hai. Fard kay jism kay mukhtalif hisson mein dard honay lagta hai aur phir usey yaqeen ho jata hai kay usey waqaee koi khatarnaak beemari lag gaee hai. Phir yeh naujawan kisi neem hakeem kay hutthey charh jatey hain jo unhein batatey hain kay unko koi khatarnaak qism ki jismani aur jinsi beemari lag gaee hai.

 Semen Ejaculation - Mani Ka Ikhraj
 Jis kay elaj kay liye kafi raqam aur waqt ki zaroorat hai. Ghareeb sey ghareeb naujawan bhi kisi na kisi tarah sey elaj kay liye moti raqam paeda karta hai, chahey usey chori hello kyun na karni parey. Ba'az naujawan to elaj kay liye maan kay zaewer tak baech detey hain. Yeh hakeem naujawanon ko steroids waghaera detey hain jinhein kha kar aksar naujawan kisi na kisi muhlik beemari mein mubtala ho jatey hain. Bohut sey shadi shuda joron mein inhi mughaliton (misconceptions) ki wajah sey alaehdgi ho jati hai.

  Amooman 15 aur twenty saal ki umer mein jinsi ghudoodon ki kaarkardagi ki wajah sey naujawan larkon mein mani (semen) zyada bannney lagti hai jiski wajah sey naujawanon mein jinsi aasoodgi ki shadeed khwahish paeda honay lagti hai aur mukhtalif tareeqo'n sey apni jinsi aasoodgi hasil karney ki fikr kartey hain kyun kay hum mani ko mehfooz nahin kar saktey chuna'ncha iska ikhraj zaroori hai aur yeh ikhraj ek sehat mand uzwiati amal hai. Yeh ikhraj jaez ho sakta hai aur na jaez bhi, halal bhi aur haram bhi. Yeh shaoori ho sakta hai aur ghaer shaoori (ehtilam) bhi.

  Shaadi (Marriage)
  Ehtelam (Nocturnal Ejaculation)
  Khud lazzati (Masturbation)
  Zina (Adultery)

Mani (semen) kay ikhraj kay four zaryey hain.

Har baligh fard mazkoora four zaryon mein sey ek aadh zarya zaroor ikhtiyar karta hai, mujhey aisey kisi fard ki talaash hai jo jawan hai aur jinsi aasoodgi kay liye mazkoora four mein sey koi bhi zarya ikhtiyar nahin karta. Agar aap hain to mujh sey fori raabta karein aap ka naam 'Guiness Book Of World Records' mein shamil hoga.

0 comments:

Post a Comment